Gazal Sms

(1) Nazar Main Zakhm-e-Tabbasum Ch

Nazar Main Zakhm-e-Tabbasum Chupa Chupa k mila

Khafa To Tha Wo Magar Mujhse Muskura k Mila

Wo Humsafar K Mere Tanz Pe Hansta Tha Bohat

Sitam Zareef Muje Aaina Dikha Ke Mila

Mere Mizaj pe Hairan Hai Zindagi Ka Shaoor

Main Apni Moat Ko Aksar Gale Laga K Mila

Main Us Se Mangta Kia Khoon Baha Jawani Ka

K Wo Bhi Aaj Muje Apna Ghar Luta k mila

Main jisko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Raste Main

Mujhe Mila Bhi Tou Zalim Nazar Jhuka K Mila

Main Zakham-e-Zakham Badan Le K Chal Dia

Wo Jab Bhi Apni qabar Per Kanwal Saja K mila



(2) Aik bay rang sa manzar hai kah

Aik bay rang sa manzar hai kahan tak sochon

zindagi main terey baray main kahan tak sochon

Phenknay walay nay tu door say pathar phenkay

aur main sirf paroosi k makaan tak sochon

Tera chehra bhi na yaad aye k tu kaisa hai

main tujhay sooch k reh jaaon yahan tak sochon

Loog jis mor per ghabra k bechar jaatay hain

tujh say milnay ka yaqeen ho tu wahan tak sochon


(3) aik dia dil main jalana bhi, b

aik dia dil main jalana bhi, bujha bhi daina,
Yaad KaRNa bhi usey roo, bhula bhi daina,

Kia kahon yeh meri chahat hai k nafrat is ki,
Naam likhna bhi maira, likh k mita bhi daina,

Phir na milnay ko bicharta hon tuj say laikin,
Murr k daikhon to palatnay ki dua bhi KaRNa,

Khat bhi likhna usay, mayoos bhi rahna us say,
Jurm KaRNa bhi magar khud ko saza bhi daina,

Mujh ko rasmon ka takalluf bhi gawara laikin,
Jee main ayai to yeh diwar gira bhi daina,

Soorat-e-naqsh-e-qadatm, dasht main rehna,
Apnay honay say na honay ka pata bhi daina


(4) kitni mushkil se kati kal ki m

kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch
dil se nikli hui honton me dabi baat na pooch

wo kis adaa se merey saamnay se guzraa abhi
kis tarha mainay sambhaley merey jazbaat na pooch

waqat jo badley to insaan badal jaatey hain
kya nahi dikhlaatey yeh gardish-e-halaat na pooch

wo kisi ka ho bhi gaya or mujhey khabar na hui
kis tarhan usney chudaya hai mujh se haath na pooch

Is tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay
Kis tarhan apno se khaai hai mainey maat na pooch

ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi
kitni mushkil se bani thi dil ki kayenaat na pooch


(5) Kaisay kahoon k apna bana lou

Kaisay kahoon k apna bana lou mujhey
bahoun mein apni sama lou mujhey

Bin tumharey aik pal bhi ab kat-ta nahin
Tum aa ker mujhi say chura lou mujhey

Zindagi tou woh hai sang tumharey jo guzrey
Dunya kay gamoun say ab chura lou mujhey

Meri sab say gehri khuwahish hou puri
Tum agar pass apnay bula lou mujhey

Yeh kaisa nasha hai jou behka raha hai
Tumhara hoon mein tou sambhalo mujhey

Najanay phir kaisay guzrey gi zindagani
Agar apnay dil say kabhi tum nikalo mujhey



(6) Yaad nahi kya kya dekha tha sa

Yaad nahi kya kya dekha tha sare manzar bhool gaye
us ke galiyon se jab laute apna bhi ghar bhool gaye
khub gaye pardes ki apne divar-o-dar bhool gaye
shish-mahal ne aisa ghera matti ke ghar bhool gaye
tujh ko bhi jab apni qasamen apne wade yaad nahi
hum bhi apne khwab teri aankhon mein rakh kar bhool gaye
mujh ko jinhone qatl kiya hai koi unhen batalaye “nazeer”
meri lash ke pehlu mein wo apna khanjar bhool gaye



(7) teri khushbu ka pata karti


teri khushbu ka pata karti hai

mujh pe ehsan hawa karti hai



shab ki tanhai main ab to aksar

guftagu tujh se raha karti hai



dil ko us rah pe chalna hi nahin

jo mujhe tujh se juda karti hai



zindagi meri thi lekin ab to

tere kahne main raha karti hai



us ne dekha hi nahin WaRNa ye ankh

dil ka ehwal kaha karti hai



beniyaz-e-kaf-e-dariya angusht

ret par nam likha karti hai



sham parte hi kisi shakhs ki yad

kucha-e-jan main sada karti hai



mujh se bhi us ka hai waisa hi suluk

hal jo tera ana??? karti hai



dukh hua karta hai kuch aur bayan

bat kuch aur hua karti hai



abr barse to inayat us ki

shakh to sirf dua karti hai



masla jab bhi utha chiragon ka

faisala sirf hawa karti hai




(8) Aankhain khuli rahain gi to


Aankhain khuli rahain gi toh manzar bhi ayen gay

Zinda hai dil toh aur sitamgar bhi ayen gay



Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal

Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayen gay



Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chaidh

Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayen gay



Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukaan main

Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayen gay



(9) Kaise kahain k jaan se pyar


Kaise kahain k jaan se pyara nahi raha

Ye aur baat ab woh hamara nahi raha

Ansoo tere b khushk hoye aur mere b

Nam ab kisi nadi ka kinara nahi raha

Kuch din tumhare laot k ane ki aas thi

Ab us umeed ka b sahara nahi raha

Reste Meh-o-Najoom k tabdeel hogye

In khidkiyon main aik b tara nahi raha

Samjhe the dosron se bohat mukhtlaf tujhe

Kya maan lain k tu b hamara nahi raha

Hathon pe bujh gai ha muqaddar ki kehkshan

Ya rakh ho gya woh sitara nahi raha

Tum aitbar is k lye kyon udas ho

Ik shakhs jo kabi b tumhara nahi raha




(10) To kya ye tay hai k ab umr bha

To kya ye tay hai k ab umr bhar nahi milna..
To phir ye umar bhi kyon, tum se gar nahi milna..!
Chalo zamane ki khaatir ye jabr b seh len
K ab kabhi jo milay,toot kar nahi milna..
Ye kon chupke se tanhaiyon main kehta hai
mere baghair sakoon umr bhar nahi milna..
Rah-e-wafa k musafir ko kon samjhaaye
kay is safar mein koi humsafar nahi milna..
Juda to jab bhi hue dil ko yun laga jaise
k ab gaye to kabhi loat kar nahi milna..!! 









(11) YE HADE'N NA TOR DENA,MERE DAI

YE HADE'N NA TOR DENA,MERE DAIRE MAIN REHNA
MUJE APNE DIL MAIN RAKHNA,MERE HAFZE MAIN REHNA

MERA BOJ KHOD UTHANA,MERA KARB AAP SEHNA
MERE ZAKHAM BANT LENA,MERE RAT JAGE MAIN REHNA

MERA HUKAM KHOD SUNANA,MERI MUHER KHOD LAGANA
MERE MASHWARE MAIN HONA,MERE FAISLE MAIN REHNA

MERE MANZARON MAIN BASNA,MERI GUFTUGU MAIN HONA
MERE LAMAS MAIN SAMANA,MERE ZAIQE MAIN REHNA

KABHI DHOOP K NAGER MAIN MERA SAATH CHOR JANA
KABHI MERA AKS BAN KER MERE AAINE MAIN REHNA

KABHI MANZILON KI SOORAT MERI DASTARAS SE BAHIR
KABHI SANG-E-MEEL BAN KER MERE RAASTE MAIN REHNA


(12) Us Ne Kaha Kon Hai Tumhay Boha

Us Ne Kaha Kon Hai Tumhay Bohat Aziz
Main Ne Kaha DIl Pay Jis Ka Ikhtiyar Hai

Us Ne Kaha Kon Sa Tofha Doun Main Tumhay
Main Ne Kaha Wahi Sham Jo Abhi Tak Udhaar Hai

Us Ne Kaha Khizan Main Milnay Ka Jawaz
Main Ne Kaha Qarb Ka Mutlab Bahaar hai

Us Ne Kaha Seinkron Gham Zindagi Main Hain
Main Ne Kaha Ghum Nahi Jub Sath Ghum Guzaar Hai

Us Ne Kaha Sath Kahan Tak Nibhao Gay
Main Ne Kaha Jub Tak Yah Sanson Ki Taar hai


(13) Main Kaise Bhoolaon Tum Ko, Mu

Main Kaise Bhoolaon Tum Ko, Mujhe Itna Bata Do…
Ek Kafan La Ke Usey Mere Dil Pe Bicha Do…
Ab Khatam Kar Do Silsila Yeh Chaahaton Ka…
Jeene Ki Chaah Ko Bhi Mere, Dil Se Mita Do…

Is Kadar Naa Meherbaan Ho Kar Dikhaao Tum…
Chhoti Si Kisi Baat Par Mujhse Rooth Jao Tum…
Meri Neendon Ko Meri Aankhon Se Chura Lo…
Kismat Ke Aansu Sab Meri Palkon Pe Saja Do…

Teri Duniya Mein Rehein Khushion Ke Manzar…
Bahaarein Barsaaye Hazaaron Phool Tum Par…
Sirhane Jo Pari Rehti Hai, Kitaab Uthaa Lo…
Simti Hui Meri Ghazal Apne Hothon Se Laga Lo…

Bhool Jaana Tum Ko Hum Se Pyaar Tha Kabhi…
Khushion Ki Tere Jeevan Mein Na Ho Koi Kami…
Mujh Par Karo Koi Zulm, Aaj Mujhko Rula Do…
Aisa Zakhm Do Ki Zindagi Bhar Ke Liye Sula Do


(14) k Shaks Ki Yaad Kitne Roop Bad
k Shaks Ki Yaad Kitne Roop Badalti Hai
Judaai Ki Raaton Mein Tanhai Bhi Machalti Hai

Kyun Diya Mohobbat Ka Ye Ajib Sa Dukh
Na Zindagi Kat Ti Hai Na Jaan Nikalti Hai

Usse Bhulane Mein Khud Ko Bhoola Baithay
Magar Soch Ki Har Raah Ussi Se Milti Hai

Ajib Rishta Bandha Hai Dard Ka Dil Se
Behtay Aansoon Se Dil Ki Halat Sambhalti Hai

Mohabbat Ka Ye Safar Aage Badhta Bhi Kaise
Nafrat Ki Shidat Meri Mohabbat Ko Kuchalti Hai

Kuch Is Tarah Ghamon Ki Daldal Mein Phansay
Khilte Phoolon Ko Jis Tarah Khizan Nigalti Hai


(15) Sab Se Chuppa Ker Dard, Jo Woh
Sab Se Chuppa Ker Dard, Jo Woh Muskura Diya
Us Ki Hansi Ney To Aaj Mujhey Rulla Diya
Lehjey Sey Uth Raha Tha Her Ik Dard Ka Duhan
Chehra Bata Raha Tha Kay Kuch Ganwa Diya
Awaz Main Thehrao Tha Aankhon Main Nammi Thi
Aur Keh Raha Tha Kai Main Ne Sab Kuch Bhulla Diya
Janey Kiya Usko Logoon Sey Thein Shikayaten
Tanhayon Kay Daes Main Khud Ko Basa Diya
Khud Bhi Woh Hum Se Bicher Ker Adhura Sa Ho Giya
Mujh Ko Bhi Itnay Logon Main Tanha Bana Diya



(16) Kisey Pukarain Hum Is Hujoo


Kisey Pukarain Hum Is Hujoom-E-Gham Main

Ke Sub Hi Hamaray Aazamaye Huay Hain

Tum Hi Ne Humain Kar Dia Tanha

WaRNa Hum To Taalluq Nibahye Huay Hain

Dheemay Dheemay Aansoo Dil Se Girte Hain

Ke Hum Apna Gham Sub Se Chupaye Huay Hain

Un Shano Tak Ab Rasai Na Rahi

Jin Shano Pe Aansoo Bahaye Huay Hain

Hum Karain Ab Kisi Per Bharosa Kaisay

Ke Zamane Se Dhokay Khaye Huay Hain

Khushion Se Bhi Ab To Lagta Hai Darr

Is Qadar Zakham Hum Ne Khaye Huay Hain



(17) Kaise Dil Ko Samjhaao Ki Woh A
Kaise Dil Ko Samjhaao Ki Woh Ab Mera Naa Raha
Naa Raha Raat Kaa Khumaar, Naa Khushiyo'n Ka Savera Raha

Kuchh Armaan Ke Sulagte Aashiyane Aise Bane
Naa Raha Tarq-E-Muhabbat , Naa Khullus-E-Dil Raha

Ab Woh Maangte Hai Mujhse Ek-Ek Pal Kaa Hisaab
Naa Raha Panna-E-Zisht, Naa Dill Mera Kitaab Raha

Woh Hai Ki Meri Muhabbat Behisaab Kar Rahe Sar-E-Aam
Yahan Mere Ashqo'n Ke Samandar Ka Kinaara Naa Raha


(18) aadain jaag jati hain Baris

aadain jaag jati hain Barishon k mausam main

Har ghari satati hyn ,Barishon k mausam main



Shaambhi kisi surat Chain se nahi katati,

Subhain bhi satati hain, Barishon k mausam main



Zehen ke jharokey main Jab koi sada ubhrey

Aankhain bheeg jati hain Baarishon k mausam main




(19) Best urdu ghazal 4 you Ja


Best urdu ghazal 4 you

Jab Guzar jaye gi Bahaar to kya karo gAY

Yaad aye ga mera Pyar to kya karo gay

Sataty ho aise jaise ajnabi hoon Main

Jab ruthy ga tum se yar to kya karo gay

Apnao gay kisi aur ko mujhe Tanha chor kar

Usey ho ga na tum se Pyar to kya karo gay

Aakhir lot k aao gay tum meri raaho per

Phir milay ga na pehla Pyar to kya karo gay



(20) Us ne Mohabat ko b ek tijar


Us ne Mohabat ko b ek tijarat samjha.



Ek dhoka tha mein ny jisy chahat samjha.



Wo mery dil ko tor kar khush hota raha,



Main kaisa dewana tha jo dard ko b rahat samjha.



Us ne samjha hi nahi rishton k taqaddus ko kbhi,



Ye faqat khel tha main ne us ki aadat samjha.



Her bar us ne diya meri wafa ko fareb,



Main tha k apny pyar ko ek ibadat samjha...!!!